GhaTa Sawan Ki UmDi Aa Rahi Hai

ghaTa sawan ki umDi aa rahi hai

payam-e-ashk bhar bhar la rahi hai

ragon mein KHun gardish kar raha hai

jawani saz-e-dil par ga rahi hai

rulata hai unhen bhi kya ye sawan

mujhe kali ghaTa taDpa rahi hai

tarannum-KHez jamuna ke kinare

kisi ki yaad paiham aa rahi hai

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhaTa Sawan Ki UmDi Aa Rahi Hai In English By Famous Poet B S Jain Jauhar. GhaTa Sawan Ki UmDi Aa Rahi Hai is written by B S Jain Jauhar. Read famous Poem GhaTa Sawan Ki UmDi Aa Rahi Hai for youth and Student by B S Jain Jauhar. Free Download GhaTa Sawan Ki UmDi Aa Rahi Hai in PDF.