Kaifiyat-e-dil-e-hazin Humse Nahin Bayan Hui

kaifiyat-e-dil-e-hazin hum se nahin bayan hui

lafz na sath de sake aansuon se ayan hui

shorish-e-wardat-e-qalb sheron mein Dhaal Dhaal kar

likhte rahe tamam umr KHatm na dastan hui

ab na wo dil mein dhaDkanen ab na wo soz-o-saz hai

puchhte hain wafat-e-dil kaise hui kahan hui

meri zara si baat par jaane wo kyun KHafa hui

koi na talKH guftugu donon ke darmiyan hui

ghar to hazaron ban gae inTon ko joD joD kar

ghar ke makinon ki wafa zinat-e-ashiyan hui

surat thi wo ki barq si badliyon ki thi oT mein

pardon se jhank jhank kar pardon mein hi nihan hui

ek hi shaKH par rahe baDh mein sanp aur aadmi

kaisi ajib dosti donon ke darmiyan hui

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaifiyat-e-dil-e-hazin Humse Nahin Bayan Hui In English By Famous Poet B S Jain Jauhar. Kaifiyat-e-dil-e-hazin Humse Nahin Bayan Hui is written by B S Jain Jauhar. Read famous Poem Kaifiyat-e-dil-e-hazin Humse Nahin Bayan Hui for youth and Student by B S Jain Jauhar. Free Download Kaifiyat-e-dil-e-hazin Humse Nahin Bayan Hui in PDF.