Naghme TaDap Rahe Hain Dil-e-be-qarar Mein

naghme taDap rahe hain dil-e-be-qarar mein

aankhen baras rahi hain gham-e-intizar mein

fitrat udas si hai ghaTaen hain sogwar

ek gham-nasib husn hai abr-e-bahaar mein

hai zarra zarra shauq-e-samaat se be-qarar

tum gunguna rahe ho kisi aabshaar mein

sawan ki rut bahaar ka mausam andheri raat

rim-jhim ke git gunj rahe hain phuwar mein

sapnon mein ho gaya hai sawera kahin mujhe

baiTha hua hun jaise kisi lala-zar mein

aisa laga ki sath hi gate hain aabshaar

kya mohni si lai hai tumhaare sitar mein

kyun aaj sar jhukae hue ro rahe ho tum

bikhre hue hain baal gham-o-intishaar mein

(1114) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naghme TaDap Rahe Hain Dil-e-be-qarar Mein In English By Famous Poet B S Jain Jauhar. Naghme TaDap Rahe Hain Dil-e-be-qarar Mein is written by B S Jain Jauhar. Read famous Poem Naghme TaDap Rahe Hain Dil-e-be-qarar Mein for youth and Student by B S Jain Jauhar. Free Download Naghme TaDap Rahe Hain Dil-e-be-qarar Mein in PDF.