Hayat DhunDh Raha Hun Qaza Ki Rahon Mein

hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein

panah mangne aaya hun be-panahon mein

badan mummy tha nazar barf sans kafuri

tamam raat guzari hai sard banhon mein

ab un mein shoale jahannam ke raqs karte hain

base the kitne hi firdaus jin nigahon mein

bujhi jo raat to apni gali ki yaad aai

ulajh gaya tha main rangin shah-rahon mein

na jaane kya hua apna bhi ab nahin hai wo

jo ek umr tha duniya ke KHair-KHwahon mein

meri talash ko jis ilm se qarar aae

na KHanqahon mein pai na dars-gahon mein

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hayat DhunDh Raha Hun Qaza Ki Rahon Mein In English By Famous Poet Badnam Nazar. Hayat DhunDh Raha Hun Qaza Ki Rahon Mein is written by Badnam Nazar. Read famous Poem Hayat DhunDh Raha Hun Qaza Ki Rahon Mein for youth and Student by Badnam Nazar. Free Download Hayat DhunDh Raha Hun Qaza Ki Rahon Mein in PDF.