Dhani Surmai Sabz Gulabi Jaise Man Ka Aanchal Sham

dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham

kaise kaise rang dikhae roz labaalab chhagal sham

charwahe ko ghar pahunchae pahre-dar se ghar chhuDwae

aate jate chheDti jae darwaze ki sankal sham

suraj ke papon ki gaThri sar par lade thaki thaki si

KHamoshi se munh laTkae chal deti hai paidal sham

behis duniya-daron ko ho duniya ki har chiz mubarak

gham-zadon ka sarmaya hain aansu aahen botal sham

suraj ke jate hi apne rang pe aa jati hai duniya

jaane-bujhe chup rahti hai shab ke moD pe komal sham

sanson ki pur-shor Dagar pe raqs karega sannaTa

chupke se jis roz achanak chhanka degi pael sham

'badr' tumhein kya haal sunain itna hi bas kafi hai

tanhai mein kaT jati hai jaise-taise maKHmal sham

(1415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhani Surmai Sabz Gulabi Jaise Man Ka Aanchal Sham In English By Famous Poet Badr Wasti. Dhani Surmai Sabz Gulabi Jaise Man Ka Aanchal Sham is written by Badr Wasti. Read famous Poem Dhani Surmai Sabz Gulabi Jaise Man Ka Aanchal Sham for youth and Student by Badr Wasti. Free Download Dhani Surmai Sabz Gulabi Jaise Man Ka Aanchal Sham in PDF.