Zehan Aur Dil Mein Jo Rahti Hai Chubhan Khul Jae

zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jae

aae kaghaz pe to salma-e-suKHan khul jae

qatra-e-dida-e-namnak masihai kare

fikr ke band darichon ki shikan khul jae

main use roz manata hun sahar hone tak

mere allah kisi shab to ye dulhan khul jae

ek KHushbu si hai jo ruh ki gahrai mein

lafz mil jaen to mani ka chaman khul jae

is tarah jage kisi roz ghazal ka jadu

jaise masti mein piya se koi jogan khul jae

nim-shab ijz-o-samajat se karun dast daraaz

lafz dhone ke liye aankhon mein sawan khul jae

sar-kashi aur tajawuz se bachana yarab

mere ehsas mein gar yas ka phan khul jae

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehan Aur Dil Mein Jo Rahti Hai Chubhan Khul Jae In English By Famous Poet Badr Wasti. Zehan Aur Dil Mein Jo Rahti Hai Chubhan Khul Jae is written by Badr Wasti. Read famous Poem Zehan Aur Dil Mein Jo Rahti Hai Chubhan Khul Jae for youth and Student by Badr Wasti. Free Download Zehan Aur Dil Mein Jo Rahti Hai Chubhan Khul Jae in PDF.