Yas Ki Kohr Mein LipTa Hua Chehra Dekha

yas ki kohr mein lipTa hua chehra dekha

jism ka ek bigaDta hua KHaka dekha

apni surat bhi na pahchan saki aankh meri

muddaton baad jo main ne kabhi shisha dekha

shahr-e-pur-haul mein ab ke ye ajab manzar tha

sang kushada tha magar sang ko basta dekha

main bhi gum-sum tha koi baat na karne paya

us ke honTon pe bhi jaise koi pahra dekha

tera qurb ek tamanna so tamanna hi rahi

hasil-e-umr yahi hai tera rasta dekha

kya ajab rakh se paida ho koi qasr-e-azim

hum ne aatish mein bhi gulzar ka naqsha dekha

main hi ghamgin nahin tark-e-talluq pe 'kamal'

wo bhi nashad tha us ko bhi fasurda dekha

(597) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yas Ki Kohr Mein LipTa Hua Chehra Dekha In English By Famous Poet Bagh Husain Kamal. Yas Ki Kohr Mein LipTa Hua Chehra Dekha is written by Bagh Husain Kamal. Read famous Poem Yas Ki Kohr Mein LipTa Hua Chehra Dekha for youth and Student by Bagh Husain Kamal. Free Download Yas Ki Kohr Mein LipTa Hua Chehra Dekha in PDF.