Yar Ko Humne Barmala Dekha

yar ko hum ne barmala dekha

aashkara kahin chhupa dekha

lan-tarani kaha khula dekha

kunto-kanaran kaha chhupa dekha

kahin KHaliq hua kahin maKHluq

kahin banda kahin KHuda dekha

bagh mein hai wo har jagah maujud

kahin ghuncha kahin saba dekha

kahin aabid hai wo kahin mabud

gah maabid mein jabha-sa dekha

kahin laila bana kahin majnun

kahin mahbub-e-KHush-ada dekha

kahin aashiq bana kahin mashuq

kahin in donon se jala dekha

kahin KHurshid mein munawwar hai

kahin mahtab mein ziya dekha

nazar aaya wo mai-kade mein mast

kahin masjid mein parsa dekha

kahin na-ashna hai aashiq se

kahin aalam se aashna dekha

kahin banta hai aashiq-e-betab

kahin KHuban ka peshwa dekha

kahin aashiq-sifat diya hai dil

kahin mashuq-e-dil-ruba dekha

kahin bulbul bana kahin qumri

gah gul o sarw-e-KHushnuma dekha

gah munazzah hai yar wahdat mein

gah kasrat mein ja-ba-ja dekha

gah mumkin hai gah hai la-shai

yar ka majra naya dekha

jalwa us ka hai har taraf raushan

apne jalwe pe KHud fida dekha

aql hairan ho gai 'bahram'

ye tamasha jo yar ka dekha

(1274) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Ko Humne Barmala Dekha In English By Famous Poet Bahram Ji. Yar Ko Humne Barmala Dekha is written by Bahram Ji. Read famous Poem Yar Ko Humne Barmala Dekha for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Yar Ko Humne Barmala Dekha in PDF.