Ham-kalami Mein Dar-o-diwar Se

ham-kalami mein dar-o-diwar se

kitne jazbe rah gae izhaar se

dhup baDhte hi juda ho jaega

saya-e-diwar bhi diwar se

hijr ka lamha mukammal ho gaya

raushni jab kaT gai minar se

TuT kar bikhre KHud apne sog mein

dil laga kar dard ke ruKHsar se

nim-wa galiyan chura kar lai hain

kaisa sapna dida-e-bedar se

kitne hi mayus lamhon ke bhanwar

hum ne nape zehn ke parkar se

umr bhar 'tariq' ulajhte hi rahe

jism ki girti hui diwar se

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-kalami Mein Dar-o-diwar Se In English By Famous Poet Bahram Tariq. Ham-kalami Mein Dar-o-diwar Se is written by Bahram Tariq. Read famous Poem Ham-kalami Mein Dar-o-diwar Se for youth and Student by Bahram Tariq. Free Download Ham-kalami Mein Dar-o-diwar Se in PDF.