Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahin Hai

koi shai dil ko bahlati nahin hai

pareshani ki rut jati nahin hai

hamare KHwab chori ho gae hain

hamein raaton ko nind aati nahin hai

koi titli kaman-daron ke Dar se

faza mein pankh phailati nahin hai

har ek surat pe gard-e-maslahat hai

koi surat hamein bhati nahin hai

jis aazadi ke naghme hain zaban par

wo aazadi nazar aati nahin hai

badan be-harkat-o-be-his paDe hain

lahu ki bund garmati nahin hai

musalsal hosh ki chabuk-zani se

meri aashuftagi jati nahin hai

zawal-e-fikr-o-fan ki 'baKHsh' tohmat

jalal-e-harf par aati nahin hai

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahin Hai In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahin Hai is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahin Hai for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahin Hai in PDF.