RuKH-e-hayat Hai Sharminda-e-jamal Bahut

ruKH-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut

jami hui hai abhi gard-e-mah-o-sal bahut

gurez-pa hai jo mujh se tera visal to kya

mera junun bhi hai aamada-e-zawal bahut

mujhe har aan ye deta hai wasl ki lazzat

wafa-shanas hai tujh se tera KHayal bahut

kitab-e-zist ke har ek waraq pe raushan hain

teri fasurda-nigahi ke KHadd-o-KHal bahut

palaT gae jo parinde to phir gila kya hai

har ek shaKH-e-shajar par bichhe hain jal bahut

tumhein hai naz agar apne husn-e-sarkash par

tu mera ishq bhi hai ru-kash-e-jamal bahut

azan-e-subh ki har lai ke tar TuT gae

farogh-e-zulmat-e-shab ka ye hai kamal bahut

kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki

samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH-e-hayat Hai Sharminda-e-jamal Bahut In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. RuKH-e-hayat Hai Sharminda-e-jamal Bahut is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem RuKH-e-hayat Hai Sharminda-e-jamal Bahut for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download RuKH-e-hayat Hai Sharminda-e-jamal Bahut in PDF.