Hue Hum Be-sar-o-saman Lekin

hue hum be-sar-o-saman lekin

safar ko kar liya aasan lekin

kinare zad mein aana chahte hain

utarne ko hai ab tufan lekin

bahut ji chahta hai khul ke ro len

lahak uTThe na gham ka dhan lekin

talluq tark to kar len sabhi se

bhale lagte hain kuchh nuqsan lekin

tawazun aa chala hai zehn-o-dil mein

shikasta haal hai mizan lekin

bahut se rang utre barishon mein

dhanak ke khul gae imkan lekin

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hue Hum Be-sar-o-saman Lekin In English By Famous Poet Bakul Dev. Hue Hum Be-sar-o-saman Lekin is written by Bakul Dev. Read famous Poem Hue Hum Be-sar-o-saman Lekin for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Hue Hum Be-sar-o-saman Lekin in PDF.