Sadiyon Ka Karb Lamhon Ke Dil Mein Basa Diya

sadiyon ka karb lamhon ke dil mein basa diya

pal bhar ki zindagi ko dawami bana diya

diwar mein wo chun hi raha tha mujhe magar

kam-baKHt ek sang kahin muskura diya

jab aur koi madd-e-muqabil nahin raha

meri ana ne mujh ko mujhi se laDa diya

mujh se na puchh kal ke muhaqqiq se puchhna

shoalon ke lams ne mujhe kyun yaKH bana diya

yaadon ke shahr mein bhi na 'hairat' sukun mila

haalat ne mizaj kuchh aisa bana diya

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadiyon Ka Karb Lamhon Ke Dil Mein Basa Diya In English By Famous Poet Balraj Hayat. Sadiyon Ka Karb Lamhon Ke Dil Mein Basa Diya is written by Balraj Hayat. Read famous Poem Sadiyon Ka Karb Lamhon Ke Dil Mein Basa Diya for youth and Student by Balraj Hayat. Free Download Sadiyon Ka Karb Lamhon Ke Dil Mein Basa Diya in PDF.