Hadsa Hota Raha Hai Mujh Mein

hadsa hota raha hai mujh mein

bar-ha koi mara hai mujh mein

meri miTTi ko pata hai sab kuchh

kaun kab kitna chala hai mujh mein

KHatm hota hi nahin mera safar

koi thak-haar gaya hai mujh mein

apne andar main sameTun kya kya

sara ghar bikhra paDa hai mujh mein

kashtiyan Dub rahi hain 'azar'

ek tufan uTha hai mujh mein

(710) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544