Kyun Chhupate Ho Kidhar Jaana Hai

kyun chhupate ho kidhar jaana hai

dasht se kah do ki ghar jaana hai

mujh mein bhi pahle uThenge tufan

phir KHamoshi ko pasar jaana hai

koi kahta hai ki main malba hun

kisi ne mujh ko khanDar jaana hai

KHak to KHak pe aa baiThegi

KHak ko uD ke kidhar jaana hai

us ki nadani to dekho 'azar'

phir se diwar ko dar jaana hai

(800) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kyun Chhupate Ho Kidhar Jaana Hai In English By Famous Poet Balwan Singh Azar. Kyun Chhupate Ho Kidhar Jaana Hai is written by Balwan Singh Azar. Read famous Poem Kyun Chhupate Ho Kidhar Jaana Hai for youth and Student by Balwan Singh Azar. Free Download Kyun Chhupate Ho Kidhar Jaana Hai in PDF.