Mere Safar Mein Hi Kyun Ye Azab Aate Hain

mere safar mein hi kyun ye azab aate hain

jidhar bhi jaun udhar hi sarab aate hain

talash hai mujhe ab to unhin fazaon ki

jahan KHizan mein bhi akasr gulab aate hain

kisi ko milta nahin ek charagh milon tak

kisi ki basti mein sau aaftab aate hain

na nikla kijiye raaton ko ghar se aap kabhi

saDak pe raat mein KHana-KHarab aate hain

khula makan hai har ek zindagi 'azar'

hawa ke sath darichon se KHwab aate hain

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Safar Mein Hi Kyun Ye Azab Aate Hain In English By Famous Poet Balwan Singh Azar. Mere Safar Mein Hi Kyun Ye Azab Aate Hain is written by Balwan Singh Azar. Read famous Poem Mere Safar Mein Hi Kyun Ye Azab Aate Hain for youth and Student by Balwan Singh Azar. Free Download Mere Safar Mein Hi Kyun Ye Azab Aate Hain in PDF.