Dard-e-dil Aaj Bhi Hai Josh-e-wafa Aaj Bhi Hai

dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai

zaKHm khane ka mohabbat mein maza aaj bhi hai

garmi-e-ishq nigahon mein nahin hai na sahi

muskuraati hui aankhon mein haya aaj bhi hai

husn paband-e-qafas ishq asir-e-alam

zindagi jurm-e-mohabbat ki saza aaj bhi hai

hasraten zist ka sarmaya bani jati hain

sina-e-ishq pe wo mashq-e-jafa aaj bhi hai

daman-e-sabr ke har tar se uThta hai dhuan

aur har zaKHm pe hangama uTha aaj bhi hai

apne aalam-o-masaib ka wahi darman hai

dard ka had se guzarna hi dawa aaj bhi hai

'mir' o 'ghaalib' ke zamane se nae daur talak

shaer-e-hind giraftar-e-bala aaj bhi hai

(1051) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil Aaj Bhi Hai Josh-e-wafa Aaj Bhi Hai In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Dard-e-dil Aaj Bhi Hai Josh-e-wafa Aaj Bhi Hai is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Dard-e-dil Aaj Bhi Hai Josh-e-wafa Aaj Bhi Hai for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Dard-e-dil Aaj Bhi Hai Josh-e-wafa Aaj Bhi Hai in PDF.