Is Darja Hua KHush Ki Dara Dil Se Bahut Main

is darja hua KHush ki Dara dil se bahut main

KHud toD diya baDh ke tamannaon ka dhaga

taki na banun phir kahin ek banda-e-majbur

han qaid-e-mohabbat se yahi soch ke bhaga

Thokar jo lagi apne azaem ne sambhaala

main ne to kabhi koi sahaara nahin manga

chalta raha main ret pe pyasa tan-e-tanha

bahti rahi kuchh dur pe ek pyar ki ganga

main tujh ko magar jaan gaya sham-e-tamanna

samjhi thi ki jal jaega shaer hai patinga

aankhon mein abhi tak hai KHumar-e-gham-e-jaanan

jaise ki koi KHwab-e-mohabbat se hai jaga

jo KHud ko badal dete hain is daur mein 'baqar'

karte hain haqiqat mein wo sone pe suhaga

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Darja Hua KHush Ki Dara Dil Se Bahut Main In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Is Darja Hua KHush Ki Dara Dil Se Bahut Main is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Is Darja Hua KHush Ki Dara Dil Se Bahut Main for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Is Darja Hua KHush Ki Dara Dil Se Bahut Main in PDF.