Nai Justuju Ka Alamiya

taKHayyul ki unchi uDanon se aage

jahan KHwab TuTe paDe hain

meri aarzu thi wahan ja ke dekhun

rafiqon raqibon ke chehre

meri har baghawat pe hanste rahe hain

main raftar ke daere toD kar

KHuda se pare ja chuka hun

farishton ki pahli baghawat ka manzar mujhe yaad aaya

kuchh aisa laga jaise aadam ka sara alamiya

nai justuju ke sahaare hamesha rahega

har ek bar baghi nae ban ke

wo dastan phir se dohra rahe hain

KHud iblis hairan hai

KHair o shar ki nai kashmakash mein ulajh kar har ek bar ye sochta hai

KHudaya! main mazlum hun

meri fitrat mein jo sar-kashi thi wo aadam se thi

tera banda hun aajiz hun tu rahm kar

dekh ek muddat se aadam ke beTe

tujhe aur mujhe bhul kar

sirf be-nam be-sud se justuju ke sahaare baDhe ja rahe hain

unhen teri rahmat tera qahr kuchh bhi Daraata nahin

mujhe aaj pahli dafa Dar laga hai

kahin ye mujhe aur tujhe qaid kar ke

sirf taKHliq ke jurm mein wo saza den

jis ko lakhon baras se ye sahte chale aa rahe hain!

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Justuju Ka Alamiya In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Nai Justuju Ka Alamiya is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Nai Justuju Ka Alamiya for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Nai Justuju Ka Alamiya in PDF.