Ye Raat

sitare chup hain ki chalti hai tez tez hawa

ye raat apni mohabbat ki raat bhi to nahin

faza mein yaadon ke jugnu chamak rahe hain abhi

hasin yaadon ko lekin sabaat bhi to nahin

gham-e-hayat se manus ho chala hai dil

nae nae hi sahi sanehat bhi to nahin

badal ke rakh den jo lail-o-nahaar duniya ke

abhi hayat ke wo hadsat bhi to nahin

wahi hai KHun-e-tamanna wahi hai hasrat-e-gham

ye maut bhi to nahin hai hayat bhi to nahin

ye raat johd-e-musalsal ki ek raat sahi

tabahiyon ko liye bar bar guzregi

koi batae kahan tak ki zindagi ki ye raat

fasurda guzri hai aur sogwar guzregi

abhi to roz yahi fikr hai jien kaise

abhi to raat yunhi be-qarar guzregi

sukun-e-dil ke liye aaj bhi yaqin sa hai

yahi chaman se KHizan sharmsar guzregi

nae charagh jalaen umid-e-farda se

kabhi to wadi-e-gham se bahaar guzregi

ye raat ek nai yaadgar lai hai

saja ke zaKHmon ke phulon ka haar lai hai

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Raat In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Ye Raat is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Ye Raat for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Ye Raat in PDF.