Subuk-sari Mein Bhi Andesha-e-hawa Rakhna

subuk-sari mein bhi andesha-e-hawa rakhna

sulag uThe ho to jalne ka hausla rakhna

nai faza mein nae par nikalne honge

falak ko zer-e-zamin ko gurez-pa rakhna

tumhaare jism ke sandal ki aabru hai bahut

hujum-e-shauq mein rah kar bhi fasla rakhna

zamin phul faza nur aasman dhanak

inhin mein rahna magar rang bhi juda rakhna

tumhaare shahr ke lab-basta shairon mein se hun

mere liye bhi koi harf-e-be-nawa rakhna

ye zinaten bhi ajab hain ye sadgi bhi ajab

riya ke sare hunar jism par saja rakhna

na jaane kaun sa kis waqt kaam aa jae

so ek jeb mein but ek mein KHuda rakhna

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subuk-sari Mein Bhi Andesha-e-hawa Rakhna In English By Famous Poet Baqar Naqvi. Subuk-sari Mein Bhi Andesha-e-hawa Rakhna is written by Baqar Naqvi. Read famous Poem Subuk-sari Mein Bhi Andesha-e-hawa Rakhna for youth and Student by Baqar Naqvi. Free Download Subuk-sari Mein Bhi Andesha-e-hawa Rakhna in PDF.