Jab Mere Dil Jigar Ki TilisMein Banaiyan

jab mere dil jigar ki tilismen banaiyan

labrez-e-ab-e-ashk kin aankhon ki khaiyan

dast-e-hina se phuT baha aaKHirash ko KHun

kin panja kar ke tujh se jo zor-azmaiyan

us aankh se jab aankh milai to bahr ne

chashm-e-sadaf mein mauj ki pherin salaiyan

kis fitna-e-zamin se ye rahta hai shab do-chaar

uDtin hain aasman ke jo munh par hawaiyan

us shama-ru ne apne shahidon ki jun patang

gaDne na din zamin mein lashen jalaiyan

us qand-lab ki did se in putliyon ko mor

khawenge zer-e-KHak samajh kar KHataiyan

taDpe bahut pa jaanib-e-sayyaad aaKHirash

qullab-e-ishq ki kashishen hum ko laiyan

tab suraten jo pesh-e-nazar thin so misl-e-ashk

yun gum huin zamin mein ki DhunDhe na paiyan

pa kar shifa banafsha-e-KHat se wo ankhDiyan

sehhat ke din bhi KHun se mere nahaiyan

mana na turk-e-chashm ne aaKHir kiya hi qatl

har-chand dil ne din tere lab ki duhaiyan

dekhen 'baqa' ki hijr ke aae pe kya bane

apne to hosh uD gae sun sun adaiyan

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Mere Dil Jigar Ki TilisMein Banaiyan In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Jab Mere Dil Jigar Ki TilisMein Banaiyan is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Jab Mere Dil Jigar Ki TilisMein Banaiyan for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Jab Mere Dil Jigar Ki TilisMein Banaiyan in PDF.