Ye RuKH-e-yar Nahin Zulf-e-pareshan Ke Tale

ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale

hai nihan subh-e-watan sham-e-ghariban ke tale

kya karen sina jo naseh se chhupate na phiren

dagh se dagh hain kuchh apne gareban ke tale

aah ki barq jo sine mein chamakti dekhi

tifl-e-ashk aa hi chhupe daman-e-mizhgan ke tale

dil mein aata hai karun ai gul-e-KHandan tujh bin

baiTh kar girya kisi naKHl-e-gulistan ke tale

yun nihan dagh-e-jigar aah se rakhta hun ki jun

baad se shama chhupawe koi daman ke tale

shaiKH Darta hun kahin baiTh na jawe ye kuan

mat khaDa ho tu asa rakh ke zanaKHdan ke tale

nahin milne ki 'baqa' hum ko ba-juz kunj-e-mazar

ja-e-asudgi is gumbad-e-gardan ke tale

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye RuKH-e-yar Nahin Zulf-e-pareshan Ke Tale In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Ye RuKH-e-yar Nahin Zulf-e-pareshan Ke Tale is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Ye RuKH-e-yar Nahin Zulf-e-pareshan Ke Tale for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Ye RuKH-e-yar Nahin Zulf-e-pareshan Ke Tale in PDF.