Udas Baam Hai Dar KaTne Ko Aata Hai

udas baam hai dar kaTne ko aata hai

tere baghair ye ghar kaTne ko aata hai

KHayal-e-mausam-e-gul bhi nahin sitamgar ko

bahaar mein bhi shajar kaTne ko aata hai

faqih-e-shahr se insaf kaun mangega

faqih-e-shahr to sar kaTne ko aata hai

isi liye to kisanon ne khet chhoD diye

ki koi aur samar kaTne ko aata hai

tere KHayal ka aahu kahin bhi din mein rahe

magar wo raat idhar kaTne ko aata hai

kaha to tha ki hamein is qadar bhi Dhil na de

ab uD rahe hain to par kaTne ko aata hai

ye kaam karte the pahle sagan-e-awara

bashar ko aaj bashar kaTne ka aata hai

ye us ki rah nahin hai magar yunhi 'baqi'

wo mere sath safar kaTne ko aata hai

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udas Baam Hai Dar KaTne Ko Aata Hai In English By Famous Poet Baqi Ahmad Puri. Udas Baam Hai Dar KaTne Ko Aata Hai is written by Baqi Ahmad Puri. Read famous Poem Udas Baam Hai Dar KaTne Ko Aata Hai for youth and Student by Baqi Ahmad Puri. Free Download Udas Baam Hai Dar KaTne Ko Aata Hai in PDF.