Dagh-e-dil Hum Ko Yaad Aane Lage

dagh-e-dil hum ko yaad aane lage

log apne diye jalane lage

kuchh na pa kar bhi mutmain hain hum

ishq mein hath kya KHazane lage

yahi rasta hai ab yahi manzil

ab yahin dil kisi bahane lage

KHud-farebi si KHud-farebi hai

pas ke Dhol bhi suhane lage

ab to hota hai har qadam pe guman

hum ye kaisa qadam uThane lage

is badalte hue zamane mein

tere qisse bhi kuchh purane lage

ruKH badalne laga fasane ka

log mahfil se uTh ke jaane lage

ek pal mein wahan se hum uTThe

baiThne mein jahan zamane lage

apni qismat se hai mafar kis ko

tir par uD ke bhi nishane lage

hum tak aae na aae mausam-e-gul

kuchh parinde to chahchahane lage

sham ka waqt ho gaya 'baqi'

bastiyon se sharar aane lage

(1870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-dil Hum Ko Yaad Aane Lage In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Dagh-e-dil Hum Ko Yaad Aane Lage is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Dagh-e-dil Hum Ko Yaad Aane Lage for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Dagh-e-dil Hum Ko Yaad Aane Lage in PDF.