Misal-e-tar-e-nazar Kya Nazar Nahin Aata

misal-e-tar-e-nazar kya nazar nahin aata

kabhi KHayal mein mu-e-kamar nahin aata

hamare aib ne be-aib kar diya hum ko

yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata

muhaal hai ki mere ghar wo raat ko aae

ki shab ko mehr-e-daraKHshan nazar nahin aata

tamam KHalq mein rahti hai dhup raaton ko

wo mehr baam se jab tak utar nahin aata

muhaal hai ki jahannam mein KHuld se jaen

jo dar par aap ke jata hai ghar nahin aata

hamari zist mein the sath kaun kaun ai 'barq'

ab ek fatiha ko qabr par nahin aata

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misal-e-tar-e-nazar Kya Nazar Nahin Aata In English By Famous Poet Barq Mirza Raza. Misal-e-tar-e-nazar Kya Nazar Nahin Aata is written by Barq Mirza Raza. Read famous Poem Misal-e-tar-e-nazar Kya Nazar Nahin Aata for youth and Student by Barq Mirza Raza. Free Download Misal-e-tar-e-nazar Kya Nazar Nahin Aata in PDF.