Chup-chap Sulagta Hai Diya Tum Bhi To Dekho

chup-chap sulagta hai diya tum bhi to dekho

kis dard ko kahte hain wafa tum bhi to dekho

mahtab-ba-kaf raat kase DhunD rahi hai

kuchh dur chalo aao zara tum bhi to dekho

kis tarah kinaron ko hai sine se lagae

Thahre hue pani ki ada tum bhi to dekho

yaadon ke saman-zar se aai hui KHushbu

daman mein chhupa lai hai kya tum bhi to dekho

kuchh raat gae roz jo aati hai faza se

har dil mein hai ek zaKHm chhupa tum bhi to dekho

har hanste hue phul se rishta hai KHizan ka

har dil mein hai ek zaKHm chhupa tum bhi to dekho

kyun aane lagin sans mein gahraiyan socho

kyun TuT chale band-e-qaba tum bhi to dekho

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup-chap Sulagta Hai Diya Tum Bhi To Dekho In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Chup-chap Sulagta Hai Diya Tum Bhi To Dekho is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Chup-chap Sulagta Hai Diya Tum Bhi To Dekho for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Chup-chap Sulagta Hai Diya Tum Bhi To Dekho in PDF.