Jaane Kya Dekha Tha Maine KHwab Mein

jaane kya dekha tha main ne KHwab mein

phans gaya phir jism ke girdab mein

tera kya tu to baras ke khul gaya

mera sab kuchh bah gaya sailab mein

meri aankhon ka bhi hissa hai bahut

tere is chehre ki aab-o-tab mein

tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi

hai jo rishta saz aur mizrab mein

mera wada hai ki sari zindagi

tujh se main milta rahunga KHwab mein

(1013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kya Dekha Tha Maine KHwab Mein In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Jaane Kya Dekha Tha Maine KHwab Mein is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Jaane Kya Dekha Tha Maine KHwab Mein for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Jaane Kya Dekha Tha Maine KHwab Mein in PDF.