To Aisa Kyun Nahin Karte

to aisa kyun nahin kahte

ki ye sapne hi mere karb ke zamin hain un ke hi sabab se main

jhulaste reg-zaron mein barahna-pa bhaTakta hun

inhi parchhaiyon ko jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha

maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai

yahi wo zahr hai jis ne

mere KHun ke namak ko nim ke ras mein badal Dala

to aisa kyun nahin kahte

ki main sapnon ke is arzang ko

suraj ki jalti bhaTTiyon mein phenk dun sab kuchh jala Dalun

kisi langar-shikasta naw ki manind dhaare par rawan ho jaun

har ek mauj ke hamrah Dubun aur ubhar aaun

to aisa kyun na kar pae

wo jo kuchh mera hissa tha

mera wirsa tha

mujh se chhin lete aur mujhe jangal ke behis peD ki manind uga dete

jo har mausam ke hamrah apna pairahan badalta hai

hawa ke jhonke dete hain ijazat jis taraf baDhne ki baDhta hai

zamin ki narmiyon ko dekh kar apni jaDen paiwast karta hai

magar tum ye na kar pae

mera wirsa na mujh se chhin pae aur wo pahla shaKHs jis ne sab se pahla KHwab dekha tha

abhi tak mujh mein zinda hai

to aisa kyun nahin karte

unhi sapnon unhi parchhaiyon ko jism de Dalo

jinhen ek jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha

maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

To Aisa Kyun Nahin Karte In English By Famous Poet Bashar Nawaz. To Aisa Kyun Nahin Karte is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem To Aisa Kyun Nahin Karte for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download To Aisa Kyun Nahin Karte in PDF.