Waqt Ke KaTahre Mein

suno tumhaara jurm tumhaari kamzori hai

apne jurm pe

rang-birange lafzon ki be-jaan ridaen mat Dalo

suno tumhaare KHwab tumhaara jurm nahin hain

tum KHwabon ki tabir se Dar kar

lafzon ki tarik gupha mein chhup rahne ke mujrim ho

tum ne hawaon ke zine par

panw rakh kar

qaus-e-quzah ke rang sameTe

aur KHalaon mein uDte

farzi taron sayyaron ki baaten kin

tum mujrim ho us nannhi konpal ke jis ne

subh ki pahli shoKH kiran se sargoshi ki

tum mujrim ho us aangan ke jis mein shayad

ab bhi tumhaare bachpan ki masum shararat zinda hai

tum mujrim ho tum ne apne panw se lipTi miTTi ko

ek izafi chiz samajh kar jhaD diya

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke KaTahre Mein In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Waqt Ke KaTahre Mein is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Waqt Ke KaTahre Mein for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Waqt Ke KaTahre Mein in PDF.