Visal

jab kisi tamtamate hue jism ka sarsaraata hua pairahan

ras-bhare santare ke chamakdar chhilke ki manind utarne lagega

dhundalke mein soe hue narm basar ki ninden

kisi sondhi KHushbu ki jhankar se jab uchaT jaengi

aur uljhi hui garm sanson ki maujon pe mein

be-sahaara bhaTakti hui naw ki tarah bahne lagunga

yaqin hai mujhe

tum hawaon ki poshak pahne hue

band kamre ki jannat mein dar aaogi

ajnabi muskuraate hue jism ke ek ek naqsh mein aap hi

aap Dhal jaogi

dur ufuq ke qarin

wo parinde fazaon mein aahista aahista tahlil ho jaenge

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Visal In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Visal is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Visal for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Visal in PDF.