Qarya Qarya KHak UDai Kucha-gard Faqir Hue

qarya qarya KHak uDai kucha-gard faqir hue

purab pachchhim DhunDa us ko aaKHir gosha-gir hue

kaun hain ye kya rabt tha un se kya kahiye kuchh yaad nahin

ye chehre kab dil mein utre kis lamhe taswir hue

sau pairae DhunDe phir bhi aaj ke din tak aajiz hain

hae wo baat jo kah bhi na pae aur daftar tahrir hue

sadha gahri soch mein Dubi sadiyan hum par sarf huin

ek do baras ki baat nahin hum qarnon mein tamir hue

wo shab wo shab-KHun adu ka kis uslub bayan karen

ghayal kaise pahron taDpe hum kis taur asir hue

kya main kya tu aaj bhi donon KHak hain kal bhi KHak 'bashir'

jina un ka marna un ka jo wajh-e-KHair-e-kasir hue

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarya Qarya KHak UDai Kucha-gard Faqir Hue In English By Famous Poet Basheer Ahmad Basheer. Qarya Qarya KHak UDai Kucha-gard Faqir Hue is written by Basheer Ahmad Basheer. Read famous Poem Qarya Qarya KHak UDai Kucha-gard Faqir Hue for youth and Student by Basheer Ahmad Basheer. Free Download Qarya Qarya KHak UDai Kucha-gard Faqir Hue in PDF.