Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha

aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha

kashti ke musafir ne samundar nahin dekha

be-waqt agar jaunga sab chaunk paDenge

ek umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha

jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai

aankhon ne kabhi mil ka patthar nahin dekha

ye phul mujhe koi wirasat mein mile hain

tum ne mera kanTon bhara bistar nahin dekha

yaron ki mohabbat ka yaqin kar liya main ne

phulon mein chhupaya hua KHanjar nahin dekha

mahbub ka ghar ho ki buzurgon ki zaminen

jo chhoD diya phir use muD kar nahin dekha

KHat aisa likha hai ki nagine se jaDe hain

wo hath ki jis ne koi zewar nahin dekha

patthar mujhe kahta hai mera chahne wala

main mom hun us ne mujhe chhu kar nahin dekha

(1450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha In English By Famous Poet Bashir Badr. Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha is written by Bashir Badr. Read famous Poem Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha in PDF.