Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palken Sanwar Lun

abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun

mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utar lun

main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua

zara Thahar ja isi moD par tere sath sham guzar lun

agar aasman ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam ho

to main motiyon ki dukan se teri baaliyan tere haar lun

kahin aur banT de shohraten kahin aur baKHsh de izzaten

mere pas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubar lun

kai ajnabi teri rah mein mere pas se yun guzar gae

jinhen dekh kar ye taDap hui tera nam le ke pukar lun

(2261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palken Sanwar Lun In English By Famous Poet Bashir Badr. Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palken Sanwar Lun is written by Bashir Badr. Read famous Poem Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palken Sanwar Lun for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palken Sanwar Lun in PDF.