KHushbu Ki Tarah Aaya Wo Tez Hawaon Mein

KHushbu ki tarah aaya wo tez hawaon mein

manga tha jise hum ne din raat duaon mein

tum chhat pe nahin aae main ghar se nahin nikla

ye chand bahut bhaTka sawan ki ghaTaon mein

is shahr mein ek laDki bilkul hai ghazal jaisi

bijli si ghaTaon mein KHushbu si adaon mein

mausam ka ishaara hai KHush rahne do bachchon ko

masum mohabbat hai phulon ki KHataon mein

hum chand sitaron ki rahon ke musafir hain

hum raat chamakte hain tarik KHalaon mein

bhagwan hi bhejenge chawal se bhari thaali

mazlum parindon ki masum sabhaon mein

dada baDe bhole the sab se yahi kahte the

kuchh zahr bhi hota hai angrezi dawaon mein

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushbu Ki Tarah Aaya Wo Tez Hawaon Mein In English By Famous Poet Bashir Badr. KHushbu Ki Tarah Aaya Wo Tez Hawaon Mein is written by Bashir Badr. Read famous Poem KHushbu Ki Tarah Aaya Wo Tez Hawaon Mein for youth and Student by Bashir Badr. Free Download KHushbu Ki Tarah Aaya Wo Tez Hawaon Mein in PDF.