Koi Lashkar Ki DhaDakte Hue Gham Aate Hain

koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain

sham ke sae bahut tez qadam aate hain

dil wo darwesh hai jo aankh uThata hi nahin

is ke darwaze pe sau ahl-e-karam aate hain

mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye

kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain

main ne do-chaar kitaben to paDhi hain lekin

sher ke taur-tariqe mujhe kam aate hain

KHub-surat sa koi hadisa aankhon mein liye

ghar ki dahliz pe Darte hue hum aate hain

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Lashkar Ki DhaDakte Hue Gham Aate Hain In English By Famous Poet Bashir Badr. Koi Lashkar Ki DhaDakte Hue Gham Aate Hain is written by Bashir Badr. Read famous Poem Koi Lashkar Ki DhaDakte Hue Gham Aate Hain for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Koi Lashkar Ki DhaDakte Hue Gham Aate Hain in PDF.