Main Tumko Bhul Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye

main tum ko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye

zara sa jhuT zarur hai dastan ke liye

mere labon pe koi bund Tapki aansu ki

ye qatra kafi tha jalte hue makan ke liye

main kya dikhaun mere tar tar daman mein

na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye

ghazal bhi is tarah us ke huzur laya hun

ki jaise bachcha koi aae imtihan ke liye

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Tumko Bhul Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye In English By Famous Poet Bashir Badr. Main Tumko Bhul Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye is written by Bashir Badr. Read famous Poem Main Tumko Bhul Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Main Tumko Bhul Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye in PDF.