Meri Nazar Mein KHak Tere Aaine Pe Gard Hai

meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai

ye chand kitna zard hai ye raat kitni sard hai

kabhi kabhi to yun laga ki hum sabhi machine hain

tamam shahar mein na koi zan na koi mard hai

KHuda ki nazmon ki kitab sari kaenat hai

ghazal ke sher ki tarah har ek fard fard hai

hayat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein

jo zindagi ko jit le wo zindagi ka mard hai

ise tabarruk-e-hayat kah ke palkon par rakhun

agar mujhe yaqin ho ye raste ki gard hai

wo jin ke zikr se ragon mein dauDti thin bijliyan

unhin ka hath hum ne chhu ke dekha kitna sard hai

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nazar Mein KHak Tere Aaine Pe Gard Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Meri Nazar Mein KHak Tere Aaine Pe Gard Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Meri Nazar Mein KHak Tere Aaine Pe Gard Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Meri Nazar Mein KHak Tere Aaine Pe Gard Hai in PDF.