Meri Zindagi Bhi Meri Nahin Ye Hazar KHanon Mein BaT Gai

meri zindagi bhi meri nahin ye hazar KHanon mein baT gai

mujhe ek muTThi zamin de ye zamin kitni simaT gai

teri yaad aae to chup rahun zara chup rahun to ghazal kahun

ye ajib aag ki bel thi mere tan-badan se lipaT gai

mujhe likhne wala likhe bhi kya mujhe paDhne wala paDhe bhi kya

jahan mera nam likha gaya wahin raushnai ulaT gai

na koi KHushi na malal hai ki sabhi ka ek sa haal hai

tere sukh ke din bhi guzar gae meri gham ki raat bhi kaT gai

meri band palkon par TuT kar koi phul raat bikhar gaya

mujhe siskiyon ne jaga diya meri kachchi nind uchaT gai

(1810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Zindagi Bhi Meri Nahin Ye Hazar KHanon Mein BaT Gai In English By Famous Poet Bashir Badr. Meri Zindagi Bhi Meri Nahin Ye Hazar KHanon Mein BaT Gai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Meri Zindagi Bhi Meri Nahin Ye Hazar KHanon Mein BaT Gai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Meri Zindagi Bhi Meri Nahin Ye Hazar KHanon Mein BaT Gai in PDF.