Musafir Ke Raste Badalte Rahe

musafir ke raste badalte rahe

muqaddar mein chalna tha chalte rahe

mere raston mein ujala raha

diye us ki aankhon mein jalte rahe

koi phul sa hath kandhe pe tha

mere panw shoalon pe jalte rahe

suna hai unhen bhi hawa lag gai

hawaon ke jo ruKH badalte rahe

wo kya tha jise hum ne Thukra diya

magar umr bhar hath malte rahe

mohabbat adawat wafa be-ruKHi

kirae ke ghar the badalte rahe

lipaT kar charaghon se wo so gae

jo phulon pe karwaT badalte rahe

(2372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musafir Ke Raste Badalte Rahe In English By Famous Poet Bashir Badr. Musafir Ke Raste Badalte Rahe is written by Bashir Badr. Read famous Poem Musafir Ke Raste Badalte Rahe for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Musafir Ke Raste Badalte Rahe in PDF.