Pichhli Raat Ki Narm Chandni Shabnam Ki KHunki Se Racha Hai

pichhli raat ki narm chandni shabnam ki KHunki se racha hai

yun kahne ko us ka tabassum barq-sifat hai shoala-numa hai

waqt ko mah-o-sal ki zanjiron mein jakaD kar kya paya hai

waqt to mah-o-sal ki zanjiron mein aur bhi tez baDha hai

ek masum se pyar ka tohfa ghar ke aangan mein paya tha

us ko gham ke pagal-pan mein koThe koThe banT diya hai

aansu tare rang gulab sabhi pardes chale jate hain

aaKHir aaKHir tanhai hai kis ne kis ka sath diya hai

nazm ghazal afsana git ek tarah hi gham tha jis ko hum ne

kaisa kaisa nam diya hai kaise kaise banT liya hai

aahon ke baadal kyun dil mein bin barse hi lauT gae hain

ab ke baras sawan ka mahina kaisa pyasa pyasa gaya hai

phul si har taswir mein zehn ki diwaron se utar chuka hun

phir bhi dil mein kanTa sa kyun rah rah kar chubhta rahta hai

majburi thi sabr kiya hai panw ko toD ke baiTh rahe hain

nagri nagri dekh chuke hain dware dware jhank liya hai

mujh ko un sachchi baaton se apne jhuT bahut pyare hain

jin sachchi baaton se akasr insanon ka KHun baha hai

'badr' tumhaari fikr-e-suKHan par ek allama hans kar bole

wo laDka nau-umr parinda uncha uDna sikh raha hai

(1235) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pichhli Raat Ki Narm Chandni Shabnam Ki KHunki Se Racha Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Pichhli Raat Ki Narm Chandni Shabnam Ki KHunki Se Racha Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Pichhli Raat Ki Narm Chandni Shabnam Ki KHunki Se Racha Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Pichhli Raat Ki Narm Chandni Shabnam Ki KHunki Se Racha Hai in PDF.