Sar-e-rah Kuchh Bhi Kaha Nahin Kabhi Uske Ghar Main Gaya Nahin

sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi us ke ghar main gaya nahin

main janam janam se usi ka hun use aaj tak ye pata nahin

use pak nazron se chumna bhi ibaadaton mein shumar hai

koi phul lakh qarib ho kabhi main ne us ko chhua nahin

ye KHuda ki den ajib hai ki isi ka nam nasib hai

jise tu ne chaha wo mil gaya jise main ne chaha mila nahin

isi shahr mein kai sal se mere kuchh qaribi aziz hain

unhen meri koi KHabar nahin mujhe un ka koi pata nahin

(1258) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-rah Kuchh Bhi Kaha Nahin Kabhi Uske Ghar Main Gaya Nahin In English By Famous Poet Bashir Badr. Sar-e-rah Kuchh Bhi Kaha Nahin Kabhi Uske Ghar Main Gaya Nahin is written by Bashir Badr. Read famous Poem Sar-e-rah Kuchh Bhi Kaha Nahin Kabhi Uske Ghar Main Gaya Nahin for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Sar-e-rah Kuchh Bhi Kaha Nahin Kabhi Uske Ghar Main Gaya Nahin in PDF.