Shabnam Ke Aansu Phul Par Ye To Wahi Qissa Hua

shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua

aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua

ab in dinon meri ghazal KHushbu ki ek taswir hai

har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua

shayad use bhi le gae achchhe dinon ke qafile

is bagh mein ek phul tha teri tarah hansta hua

har chiz hai bazar mein is hath de us hath le

izzat gai shohrat mili ruswa hue charcha hua

mandir gae masjid gae piron faqiron se mile

ek us ko pane ke liye kya kya kiya kya kya hua

anmol moti pyar ke duniya chura kar le gai

dil ki haweli ka koi darwaza tha TuTa hua

barsat mein diwar-o-dar ki sari tahriren miTin

dhoya bahut miTta nahin taqdir ka likkha hua

(1340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabnam Ke Aansu Phul Par Ye To Wahi Qissa Hua In English By Famous Poet Bashir Badr. Shabnam Ke Aansu Phul Par Ye To Wahi Qissa Hua is written by Bashir Badr. Read famous Poem Shabnam Ke Aansu Phul Par Ye To Wahi Qissa Hua for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Shabnam Ke Aansu Phul Par Ye To Wahi Qissa Hua in PDF.