Udas Aankhon Se Aansu Nahin Nikalte Hain

udas aankhon se aansu nahin nikalte hain

ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain

ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain

tamam raat khujuron ke peD julte hain

main shahrah nahin raste ka patthar hun

yahan sawar bhi paidal utar ke chalte hain

unhen kabhi na batana main un ki aankhon mein

wo log phul samajh kar mujhe masalte hain

kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se

kahin bhi jaun mere sath sath chalte hain

ye ek peD hai aa is se mil ke ro len hum

yahan se tere mere raste badalte hain

(1308) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udas Aankhon Se Aansu Nahin Nikalte Hain In English By Famous Poet Bashir Badr. Udas Aankhon Se Aansu Nahin Nikalte Hain is written by Bashir Badr. Read famous Poem Udas Aankhon Se Aansu Nahin Nikalte Hain for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Udas Aankhon Se Aansu Nahin Nikalte Hain in PDF.