Chale Jaana Magar Sun Lo Mere Dil Mein Ye Hasrat Hai

chale jaana magar sun lo mere dil mein ye hasrat hai

faqat ek bar hi kah do hamein tum se mohabbat hai

ye mausam bhi suhana hai teri yaadon ke mele hain

tere bin ek bhi lamha bita lena qayamat hai

bura kahta hai mujh ko ye zamana main ne mana hai

na jaane kyun use tujh se nahin koi shikayat hai

achanak yun jo mujh se bad-guman tu ho gaya hamdam

mujhe lagta hai ye mere raqibon ki shararat hai

nahin koi KHata meri wo phir bhi zaKHm dete hain

main hun bimar-e-ulfat bas dawa meri mohabbat hai

rahe kab tak bhala mahtab tanhai ke aalam mein

ki ab to aa bhi ja us ko faqat teri zarurat hai

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale Jaana Magar Sun Lo Mere Dil Mein Ye Hasrat Hai In English By Famous Poet Bashir Mehtaab. Chale Jaana Magar Sun Lo Mere Dil Mein Ye Hasrat Hai is written by Bashir Mehtaab. Read famous Poem Chale Jaana Magar Sun Lo Mere Dil Mein Ye Hasrat Hai for youth and Student by Bashir Mehtaab. Free Download Chale Jaana Magar Sun Lo Mere Dil Mein Ye Hasrat Hai in PDF.