Ek Husn-e-be-misal Ke Jo Ru-ba-ru Hun Main

ek husn-e-be-misal ke jo ru-ba-ru hun main

mahsus ho raha hai KHud apna adu hun main

apni giraft-e-shauq se niklun to kis tarah

phaila hua jahan mein har ek su hun main

mujh pe teri hayat ka dar-o-madar hai

jazbon se jhankta hua zinda lahu hun main

gunjunga tere zehn ke gumbad mein raat-din

jis ko na tu bhula sake wo guftugu hun main

har subh ek marka-e-karbala sahi

har sham apne doston mein surKH-ru hun main

puchhun main kis se aalam-e-imkan mein kis liye

apne hi naqsh-e-pa ki tarah ku-ba-ku hun main

'saifi' main apne aap mein nilam ho gaya

kis ko KHabar thi shahr mein ek KHub-ru hun main

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Husn-e-be-misal Ke Jo Ru-ba-ru Hun Main In English By Famous Poet Bashir Saifi. Ek Husn-e-be-misal Ke Jo Ru-ba-ru Hun Main is written by Bashir Saifi. Read famous Poem Ek Husn-e-be-misal Ke Jo Ru-ba-ru Hun Main for youth and Student by Bashir Saifi. Free Download Ek Husn-e-be-misal Ke Jo Ru-ba-ru Hun Main in PDF.