Zahir Meri Shikast Ke Aasar Bhi Nahin

zahir meri shikast ke aasar bhi nahin

mujh ko yaqin fath ka is bar bhi nahin

qaid-e-makan se dekhiye kab tak rihai ho

ab tak to bad-guman dar-o-diwar bhi nahin

kis sehr ki giraft mein aae hue hain hum

aankhen bhi hain khuli hui bedar bhi nahin

jo kuchh ki dil mein ho bhari mahfil mein kah sake

har shaKHs mein ye jurat-e-izhaar bhi nahin

kya asl kaenat ko 'saifi' samajh sakun

mujh par ayan to zat ke asrar bhi nahin

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahir Meri Shikast Ke Aasar Bhi Nahin In English By Famous Poet Bashir Saifi. Zahir Meri Shikast Ke Aasar Bhi Nahin is written by Bashir Saifi. Read famous Poem Zahir Meri Shikast Ke Aasar Bhi Nahin for youth and Student by Bashir Saifi. Free Download Zahir Meri Shikast Ke Aasar Bhi Nahin in PDF.