Yun Khul Gaya Hai Raaz-e-shikast-e-talab Kabhi

yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi

aankhon se bah gaya hai lahu be-sabab kabhi

viraniyon ne tham liya daman-e-hayat

hum log bhi the KHanda-e-bazm-e-tarab kabhi

jo log aaj zinat-e-KHwab-o-KHayal hain

rahte the sath sath mere roz-o-shab kabhi

aawara aaj surat-e-barg-e-KHizan mile

milti thi jin se baad-e-saba ba-adab kabhi

ek ek samt jin ko bagule uDa gae

yakja na ho sakenge wo auraq ab kabhi

tark-e-talluqat hai phir bhi ThiThuk gae

guzre hain mere pas se ho kar wo jab kabhi

mohlat kuchh aur kashmakash-e-intizar de

aa jae kuchh KHayal use kya ajab kabhi

(557) Peoples Rate This

Bashir Zaidi Aseer's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Yun Khul Gaya Hai Raaz-e-shikast-e-talab Kabhi In English By Famous Poet Bashir Zaidi Aseer. Yun Khul Gaya Hai Raaz-e-shikast-e-talab Kabhi is written by Bashir Zaidi Aseer. Read famous Poem Yun Khul Gaya Hai Raaz-e-shikast-e-talab Kabhi for youth and Student by Bashir Zaidi Aseer. Free Download Yun Khul Gaya Hai Raaz-e-shikast-e-talab Kabhi in PDF.