Kaun Kahta Hai Nasim-e-sahari Aati Hai

kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai

nikhat-e-gul mein basi ek pari aati hai

shauq se zulm karo shauq se do tum aazar

ye samajh lo mujhe bhi nauhagari aati hai

koi kahta hai ki aata hai dukhana dil ka

koi kahta hai tumhein chaaragari aati hai

dard-e-ulfat ko baDha kar wo ghaTa dete hain

chaak dil kyun na karen baKHiya-gari aati hai

jhuT se mujh ko na matlab na banawaT se kaam

baat jo aati hai munh par wo khari aati hai

zor se sans jo leta hun to akasr shab-e-gham

dil ki aawaz ajab dard bhari aati hai

dast-e-wahshat ka mere shughl wo kya puchhte hain

kuchh nahin aata faqat jama-dari aati hai

kaam karne ke saliqe se hum aagah nahin

aur kya aata hai bas be-hunari aati hai

dil-e-pazhmurda khila jata hai kyun aaj bashir

aa gai hai koi ya KHush-KHabari aati hai

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Kahta Hai Nasim-e-sahari Aati Hai In English By Famous Poet Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Kaun Kahta Hai Nasim-e-sahari Aati Hai is written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Read famous Poem Kaun Kahta Hai Nasim-e-sahari Aati Hai for youth and Student by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Free Download Kaun Kahta Hai Nasim-e-sahari Aati Hai in PDF.