Zauq-e-ulfat Ab Bhi Hai Rahat Ka Arman Ab Bhi Hai

zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai

dil pareshan ruh tarsan chashm-e-giryan ab bhi hai

kab sambhaale se sambhalta hai dil-e-pur-iztirab

aah-e-sozan lab par ab bhi sina baryan ab bhi hai

sai koshish ke liye maidan hai ab bhi faraKH

azm-e-rasiKH ki zarurat hum ko han han ab bhi hai

tuKHm mein roidagi har naKHl mein baalidgi

mausam-e-sarma-o-garma baad-o-baran ab bhi hai

KHalq mein maujud hain ab bhi wahi lal-o-gohar

tishna-kaami-e-sadaf ko abr-e-naisan ab bhi hai

sham bhi hai subh bhi hai aur din bhi raat bhi

mah-e-taban ab bhi hai mahr-e-daraKHshan ab bhi hai

aashiq o mashuq bhi hain wasl o hijr o rashk bhi

mahr ulfat tegh o KHanjar tir paikan ab bhi hai

hai wahi diwangi ab bhi wahi shoridgi

jaib o daman hadiya-e-KHar-e-bayaban ab bhi hai

shauq o zauq ab bhi hai baqi murda-dil hum hain to hain

apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistan ab bhi hai

ishq ki surat jo badle to ho aashiq bhi kuchh aur

ye jafa-o-jaur ka har waqt KHwahan ab bhi hai

aa gai piri magar ab tak hai tu mahw-e-KHayal

ham-sabaq tiflon ka tu tifl-e-dabistan ab bhi hai

garmi-e-mahfil wahi hai jama hain ahbab bhi

hasti-e-parwana o sham-e-shabistan ab bhi hai

ghair-mumkin hai badal jae kabhi qanun-e-haq

hukm-e-yazdan ab bhi hai ijra-e-farman ab bhi hai

kyun musalmanon ne badla haal apni qaum ka

tha jo quran bas wahi maujud quran ab bhi hai

qashqa baala-e-jabin zunnar hai baala-e-dosh

ye bata iman se kya tu musalman ab bhi hai

ittiqa o zohd se dil-bastagi baqi nahin

dawa-e-islam jaisa pahle tha han ab bhi hai

kho diye ayyam-e-piri ne tere hosh-o-hawas

ai bashir-e-be-nawa kuchh dil mein arman ab bhi hai

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zauq-e-ulfat Ab Bhi Hai Rahat Ka Arman Ab Bhi Hai In English By Famous Poet Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Zauq-e-ulfat Ab Bhi Hai Rahat Ka Arman Ab Bhi Hai is written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Read famous Poem Zauq-e-ulfat Ab Bhi Hai Rahat Ka Arman Ab Bhi Hai for youth and Student by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Free Download Zauq-e-ulfat Ab Bhi Hai Rahat Ka Arman Ab Bhi Hai in PDF.